Touba karne se badalti nahi aadat apni
Aagayi phir kisi kaafir pe tabiyat apni
Mujhko darkaar woh saaqi hai jo darya dil ho
Ek do jaam se bharti nahi niyyat apni
Hum na kehte the aasaan nahi ishq “Jaleel”
Aaina le ke zara dekhiye surat apni.