Aa ki mirī jaan ko qarār nahīñ hai
tāqat-e-bedād-e-intizār nahīñ hai
dete haiñ jannat hayāt-e-dahr ke badle
nashsha ba-andāza-e-ḳhumār nahīñ hai
girya nikāle hai terī bazm se mujh ko
haa.e ki rone pe iḳhtiyār nahīñ hai
ham se abas hai gumān-e-ranjish-e-ḳhātir
ḳhaak meñ ushshāq kī ġhubār nahīñ hai
dil se uThā lutf-e-jalva-hā-e-ma.ānī
ġhair-e-gul ā.īna-e-bahār nahīñ hai
qatl kā mere kiyā hai ahd to baare
vaa.e agar ahd ustuvār nahīñ hai
tū ne qasam mai-kashī kī khaa.ī hai ‘ġhālib’
terī qasam kā kuchh e’tibār nahīñ hai