Ham par tumhari chaah ka ilzam hi to hai
dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai
karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ
shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai
dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai
ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai
dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ
dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai
āḳhir to ek roz karegī nazar vafā
vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai
bhīgī hai raat ‘faiz’ ġhazal ibtidā karo
vaqt-e-sarod dard kā hañgām hī to hai