Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
Hain sakhi lakhon yahaan par Aap (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sa koi nahin
Aap ke dohar mein dono jahaan ki nematein
Aap ke lutf-o-karam ki intihaa koi nahin
Jab liya Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mushkilein hall ho gayin
Kaun kehta hai ke Tere Naam ka assar nahin
Aye Darbar Dar-e-Yaar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aasiyo
Aitaraf-e-jurm karlo to sazzaa koi nahin
Aap ke hote hue main kyun musibat mein rahon
Kya kaheinge log ke mushkil kusha koi nahin
Kaun buje aye Niyazi dard-e-dil ka majira
Hub-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai humara aasraa koi nahin
Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
Hain sakhi lakhon yahaan par Aap sa koi nahin