Balaghal ‘ula bi kamalihi, kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jami’u khisaalihi sallu ‘alayhi wa aalihi
Meyn buron say laakh bura sahi, magar un say he mayra waasta
Meri laaj rakhna mere khuda, ye tayray habeeb ki baat hai
Karuun tayray naam pay jaan fida, na bas eyk jaan do jahaan fida
Do jahan say bhi nahiin ji bhara, karun kya karoron jahan nahiin
Tayray zikr ki he yay barkatayn mayray bigray kam sanwar ga-ay
Jahaan tayri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he
Tayri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he
Tayra daykhna mayri eid he tayra rukh kalaam e majeed he
Aaway karma wali fayr o gharii phira meyn madinay gali gali
Fayr saadi wi howay haazri saaday waastay koii dua karay
Ho daruud tujh pay bhi Aminah (radi Allahu ‘anha) tayray chaand par bhi salam ho
Tayri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he
He yay aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru
Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he
Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi.