Ham par tumhari chaah

Ham par tumhari chaah ka ilzam hi to hai
dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai
karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ
shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai

dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai
ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai

dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ
dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai
āḳhir to ek roz karegī nazar vafā
vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai

bhīgī hai raat ‘faiz’ ġhazal ibtidā karo
vaqt-e-sarod dard kā hañgām hī to hai

Read More...

Tum aaye ho na shab e intizār guzrī

Tum aaye ho na shab e intizār guzrī hai

talāsh meñ hai sahar baar baar guzrī hai

junūñ meñ jitnī bhī guzrī ba-kār guzrī hai

agarche dil pe ḳharābī hazār guzrī hai

huī hai hazrat-e-nāseh se guftugū jis shab

vo shab zarūr sar-e-kū-e-yār guzrī hai

vo baat saare fasāne meñ jis kā zikr na thā

vo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai

na gul khile haiñ na un se mile na mai pī hai

ajiib rañg meñ ab ke bahār guzrī hai

chaman pe ġhārat-e-gul-chīñ se jaane kyā guzrī

qafas se aaj sabā be-qarār guzrī hai

Read More...

Kab yaad men tera saath

Kab yaad meñ terā saath nahīñ kab haat meñ terā haat nahīñ
sad-shukr ki apnī rātoñ meñ ab hijr kī koī raat nahīñ
mushkil haiñ agar hālāt vahāñ dil bech aa.eñ jaañ de aa.eñ
dil vaalo kūcha-e-jānāñ meñ kyā aise bhī hālāt nahīñ

jis dhaj se koī maqtal meñ gayā vo shaan salāmat rahtī hai
ye jaan to aanī jaanī hai is jaañ kī to koī baat nahīñ
maidān-e-vafā darbār nahīñ yaañ nām-o-nasab kī pūchh kahāñ
āshiq to kisī kā naam nahīñ kuchh ishq kisī kī zaat nahīñ

gar baazī ishq kī baazī hai jo chāho lagā do Dar kaisā
gar jiit ga.e to kyā kahnā haare bhī to baazī maat nahīñ

Read More...

Aap kī yaad aatī rahī raat bhar

Aap kī yaad aatī rahī raat bhar
chāñdnī dil dukhātī rahī raat bhar
gaah jaltī huī gaah bujhtī huī
sham-e-ġham jhilmilātī rahī raat bhar

koī ḳhushbū badaltī rahī pairahan
koī tasvīr gaatī rahī raat bhar
phir sabā sāya-e-shāḳh-e-gul ke tale
koī qissa sunātī rahī raat bhar

jo na aayā use koī zanjīr-e-dar
har sadā par bulātī rahī raat bhar
ek ummīd se dil bahaltā rahā
ik tamannā satātī rahī raat bhar

Read More...