Chand Taray Hi Kya

Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay
Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Ham daray Mustafa dekhtay reh ga-ay,
Noor hi noor tha, dekhtay reh ga-ay.

Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa,
Soorat-e-Mustafa dekhtay reh ga-ay

Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa,
Muqtadi muqtadaa dekhtay reh ga-ay.

Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam,
Log acha buraa dekhtay reh ga-ay

Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa,
Hum to unki adaa dekhtay reh ga-ay

Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum,
Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay reh ga-aye

Baar baar tauba ki aur phir torr di
Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe

Ya Rasul Llah ya Habiba Llah
Mere sar ko Haram ki fiza chahiye

Ya Rasool Llah ya Habiba Llah
Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye

Fazl-e-Rabb-ul-‘ula aur kya chahiye
Mil gaye Mustafa aur kya chahiye

Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay,
Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Kalaam By: Peer Syed Naseer-ud-Din Naseer Shah