Meri Zindagi To Firaaq Hai Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
Hamain Jaan Deni Hai Aik Din Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi
Hamain Aap Khainchiye Daar Par Jo Nahin Koi To Hameen Sahi
Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashr Ho Hamain Intezaar Qabool Hai
Wo Kabhi Milen Wo Kahin Milen Wo Kabhi Sahi Wo Kaheen Sahi
Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin
Main Unhi Ka Tha Main Unhi Ka Hun Wo Mere Nahin To Nahin Sahi
Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay
Teri Anjuman Men Agar Nahin Teri Anjuman Ke Qareen Sahi
Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi
Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi
Meri Zindagi Ka Naseeb Hai Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai
Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai Wo Agar Nahin To Naheen Sahi
Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye Use Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Karainge Aap Sitam Wahan Wo Abhi Sahi Wo Yaheen Sahi
Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi To ‘Naseer’ Dekh Hi Lainge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Hon Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi