Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaey

Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaey
Isi ke Sadqay mein Kaamil mera Iman ho jaey

Mere Mushkil kusha Hasanain ka Sadqa Ata kar de
Balaen door hon Mushkil Meri Aasan ho jaey

Mere Aamal ka badla tabahi hay magar piyaray
Mein Jannat ko sidharon jo tera farmaan ho jaey

Madinay Paak ke kutton ki khidmat ka sharaf paaon
Sagaan-e-Taybah ka Khadim, meri pehchan ho jaey

Mein jaun daar-e-faani se mera Emaan Salamat ho
Teri chahat teri Ulfat mera Saman ho jaey

Mere Shafay’ sawali hun Nijaat-e-Aakhirat ka mein
Sar-e-Mehshar Shafa’at ka teri Aey’laan ho jaey

Mein hun Sunni, rahun sunni, jeeun sunni, marun sunni
Karam Aey Sayyid-e-Aalam tera Ihsaan ho jaey

Teri Naatien parrhun teri Sana mein Mast ho jaon
Paey Akhtar Nigaah-e-Hazrat-e-Hassan ho jaey

Teri Madh-o-Sana sunn kar sarray munkir karay maatam
Magar jab bhi koi Sunni sunay Farhaan ho jaey

Khurooj-o-Rafz ke Shar se mera aur meri Naslon ka
Salamat deen-o-Iman Aey Mere Sultan ho jaey

Mein Baghdad-e-Mu’alla aanay ko tayyar hun kab se
Izn bas Haazri ka az Shah e Jeelan ho jaey

Bareilly Hziri dun phr Chaloon Ajmer ko Khwajah
Raza ke Faiz se mujh par tera faizan ho jaey

Mere Ghous o Raza ka, mere Khwaja, mere Daata ka
Mere Murshid ka Mujh pe Daaimi Faizan ho jaey

Meri Naslain chalain Raah e Sunan par taa Dam e Aakhir
Meri Aulaad Aaqa Aalim-e-Quran ho jaey

Karam karna karam walay bharam rakhna bharam walay
Teri Namoos pe Qurban yeh Irfan ho jaey

Read More...

Aur Koi Ghaib Kya

Aur Koi Ghaib Kya Tum Sey Nihaa(n) Ho Bhala,
Jab Naa Khuda Hi Chupaa Tum Pe Karoron Durood.

Toor Pe Jo Sham’a Thaa Chaand Thaa Saa’eer Kaa,
Nayyar-E-Faaraa(n) Huwa Tum Pe Karoron Durood.

Dil Karo Thanda Mera Woh Kaf-E-Paa Chaand Saa,
Seeney Pe Rakh Do Zaraa Tum Pe Karoron Durood.

Zaat Hui Intikhaab Wasf Huwe Laajawaab,
Naam Huwa Mustafa Tum Pe Karoron Durood.

Ghaayat-O-’Illat Sabab Bahr-E-Jahaa(n) Tum Ho Sab,
Tum Sey Banaa Tum Binaa Tum Pe Karoron Durood.

Tum Sey Jahaa(n) Ki Hayaat Tum Sey Jahaa(n) Kaa Sabaat,
Asl Sey Hay Zil Bandhaa Tum Pe Karoron Durood.

Maghz Ho Tum Aur Post Aur Hain Baahir Key Dost,
Tum Ho Daroon-E-Saraa Tum Pe Karoron Durood.

Kya Hain Jo Be-Had Hain Laus Tum Toh Ho Ghais Aur Ghaus,
Cheentte Mein Hoga Bhalaa Tum Pe Karoron Durood.

Tum Ho Hafeez-O-Mughees Kya Hay Woh Dushman Khabees,
Tum Ho Toh Phir Khauf Kya Tum Pe Karoron Durood.

Read More...

Meri ulfat mujhe kaafir banaa de

Meri ulfat mujhe kaafir banaa de
Siva tere koi dil me mere agar ho
Mujhe aaka ataa aisi nazer ho
Main dekhu jis traf tu jalwager ho

Mujhe kya kaam hai dair o haram se
Mera sajda udher hai tu jidher ho
Mujhe sara jahan apna kahe ga
Meri jaanib teri nazer ho

Sarapa bandagi bo zindagi hai
Khayal e mustfa(s.a.w) me jo basher ho
Nahi iske siva koi tamnna
Jab aaye mout tu pese nazer ho

Yehi bas aarzu hai yaa ilahi
Jamal e yaar ho meri nazer ho

Read More...

Pegham saba laye hai

Pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se
darbare-Nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-Nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se

Read More...

Apnay daamane shifaat main

Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna

Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna

Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna

Mere sarkaar meri baat banaye rakhna
Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Mere sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna
Mere sarkaar meri baat banaye rakhna

Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna

Mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna

Read More...

Aap ke Darbar se

Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
Hain sakhi lakhon yahaan par Aap (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sa koi nahin

Aap ke dohar mein dono jahaan ki nematein
Aap ke lutf-o-karam ki intihaa koi nahin

Jab liya Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mushkilein hall ho gayin
Kaun kehta hai ke Tere Naam ka assar nahin

Aye Darbar Dar-e-Yaar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aasiyo
Aitaraf-e-jurm karlo to sazzaa koi nahin

Aap ke hote hue main kyun musibat mein rahon
Kya kaheinge log ke mushkil kusha koi nahin

Kaun buje aye Niyazi dard-e-dil ka majira
Hub-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai humara aasraa koi nahin

Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
Hain sakhi lakhon yahaan par Aap sa koi nahin

Read More...

Aankhon ko woh pur kaif

Aankhon ko woh pur kaif nazare nahin bhule
woh din jo madine mein guzare nahin bhule

bechain hai ik baar uthe phir wohi ungli
mohtaab ko aqa ke ishare nahin bhule

ghir jaon main ji chahe mera phir se bhanwar mein
aqa ne diye the jo sahare nahin bhule

islam ke gulshan ko bachaya tha jinhon ne
karbal ko woh zahra ke dulare nahin bhule

taiba ki haseen raat mein faarooqi humari
taqdeer ke chamke jo sitare nahin bhule

Read More...

Aanay walo yay to bataao

Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he

Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn Rabb kay aagay sajda karna kesa he

Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he

Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he

Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he

Read More...

Aaya Ramzaan ka mahina

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina

Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina

Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina

Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina

kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina

Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina

Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana

Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina

Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina

Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina

Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina

Read More...

Khaliq ney apney Nuur ka

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain
Sadqa Hasnain (radi Allahu ‘anhu) o Ghausul Waraa (rahimahu Llah) ka
Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri jholi may daalo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara
Aashiqo Aamad-e-Mustafa hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey
Aap ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un kay sadqey may ham ko bula lo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Jin kay haatho may hay Un ka daaman
Naam-e-Ahmad hay jis dil ki dharkan
Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker un ka naara laga lo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan
Jashne Milaad ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Midhat-e-Mustafa hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey
Her ghari zikr ho Mustafa ka
Iss ko apna wazeefa bana lo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Read More...