Aa mil yaar saar le meri

Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri.

Andar khvaab vichoda hoya, khabar na paindi teri.
Sunni ban vich lutti saiyaan, chor shaang ne gheri.

Mullah qazi saahnu raah bataavan, dein dharam de pheri.
Eh taan thug ne jagg de jheevar, laavan jaal chuferi.

Karam sharaan de dharam bataavan, sangal paavan pairi,
Zaat mazhab eh ishk na puchhda, ishk shara da vairi.

Nadiyon paar mulak sajan da, lobh lehar ne gheri,
Satgur beddi phaddi khalote, taen kyun layi a deri.

Bulla shah shauh tennu milsi, dil nu deh dileri,
Preetam paas te tolna kisnu, bhulliyon sikhar dupehri.

Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri

Read More...

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse

Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se

Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse

Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se

Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
Har ek musalmaan Tere deed ko tarse

Naamoos-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke liye jaan bhi doon ga
Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se

Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se

Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se

Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se

Read More...

Aa gaye Sarkaar

Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan
Nabian de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main bismillah karan

Aamina da Raajdulhara aagaya
Khirr payi gulzaar main bismillah karaan
Ji bismillah karaan
Main bismillah karaan

Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main bismillah karan
Nabian de Sardaar main bismillah karan

Gowd wich leke Halima (radi Allahu ‘anha) ne keya
Aaja mere Laal main bismillah karan

Aa gaye Sarkaar main bismillah karan
Nabian de Sardaar main bismillah karan

Aakheya Rabb ne raat meraj di
Aaja Mere Yaar main bismillah karan

Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan
Nabian de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan

Eho dua mangda Baghdadi har wele
Khwaab wich howe nazara Aaqa da

Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main bismillah karan
Nabian de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan

Madina-e-Paak da sohna chan aa gaya
Sajiyan galliyan baazar main bismillah karan

Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan
Nabian de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan

Read More...

Shahon Se Kuch Garaz Na

Shahon Se Kuch Garaz Na Kisi Taajwar Se Hai
Meri To Aashnayi Tere Sange Dar Se Hai

Jis Raah Se Who Sarve Khirama Guzar Gaya
Nisbat Meri Jabi Ko Usi Reh Guzar Se Hai

Unse Nazar Mili To Nazar Unki Ho Gayi
Ye Haadsa Ajeeb Nazar Ka Nazar Se Hai

Teri Nigah Se Huwe Zakhmi Dilon Jigar
Teere Ek Do Shikaar Ye Tere Hunar Se Hai

Girta Nahi Hai Katraye Khamosh Be Sabab
Shabnam Ka Bhi Wujood Kisi Chashme Tar Se Hai

Tehri Razaye Yaar Hi Jab Meere Kaarwaan
Phir Qutub Wasta Mujhe Kya Khair o Shar Se Hai

Read More...

Meri Zindagi To Firaaq Hai

Meri Zindagi To Firaaq Hai Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi

Hamain Jaan Deni Hai Aik Din Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi
Hamain Aap Khainchiye Daar Par Jo Nahin Koi To Hameen Sahi

Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashr Ho Hamain Intezaar Qabool Hai
Wo Kabhi Milen Wo Kahin Milen Wo Kabhi Sahi Wo Kaheen Sahi

Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin
Main Unhi Ka Tha Main Unhi Ka Hun Wo Mere Nahin To Nahin Sahi

Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay
Teri Anjuman Men Agar Nahin Teri Anjuman Ke Qareen Sahi

Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi
Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi

Meri Zindagi Ka Naseeb Hai Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai
Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai Wo Agar Nahin To Naheen Sahi

Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye Use Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Karainge Aap Sitam Wahan Wo Abhi Sahi Wo Yaheen Sahi

Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi To ‘Naseer’ Dekh Hi Lainge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Hon Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi

Read More...

Jab gumbad e khizra pe woh pehli nazar gayi

Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi,
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi.

Sar kham tha, lab khamoosh thay, aankhein thein ashkbaar,
Ik sa’at-e-bedaar thei jou ke guzar gayi.

Barsi thei iss qadar, ke naha sa gaya udher,
Woh barish-e-karam mere daaman ko bhar gayi.

Dil bhi hai shad shad, tabiyat hai pur bahar,
Lagta hai aaj meri Madinay khabar gai.

Home > Owais Raza Qadri > Jab Gumbad e Khazra Pe Woh
Jab Gumbad e Khazra Pe Woh Lyrics

Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi.
Sar kham tha, lab khamoosh thay, aankhein thein ashkbaar
Ik saat-e-bedaar thei jou ke guzar gayi.

Barsi thi iss qadar, ke naha sa gaya udher
Woh barish-e-karam mere daaman ko bhar gayi.
Dil bhi hai shad shad, tabiyat hai pur bahar
Lagta hai aaj meri Madinay khabar gai.

Jo keh sakaa na lab say mili woh murad bhi
Mere sukoot per bhi shaha ki nazar gayi.
Taiba se lautna, kissi aashiq se puchiye
Aisa lagay kay rooh badan say guzar gayi.

Mar kar bhi na marunga mai allha ki qasam
Yeh jaan unke zikr mey meri agar gayee.

Read More...

Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani

Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon

Shafe Mugniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Read More...

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Sab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon

Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon

Read More...

Dar pe bulawo makki madni

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni,

Deed teri hai, eid meri
Deed karawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Mehshar me ho lab pe mere
“‘Mujh ko bachawo makki madni”
Dar pe bulawo makki madni

Apne nawason ke sadqe
Dukhre mitawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Gumbad-e-Khazra ke saaye taleh
Mujh ko sulawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Mangta hu(n) me sawaali hoon,
Ishq-e-Nabi ka pujaari hu(n),
Thokaren khaata hu(n) dar dar ki,

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni

Har saas me Madinah he,
muskhkil ab mera jeena he,
Dil mein tamanna hai Tayba ki,

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni

Barso(n) say akhiya tarsi,
Jalwa dikhawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Asdi gunaho me dooba huwa he
Jaisa he nibhawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni

Dar pe bulawo makki madni

Read More...