Tum aaye ho na shab e intizār guzrī hai
talāsh meñ hai sahar baar baar guzrī hai
junūñ meñ jitnī bhī guzrī ba-kār guzrī hai
agarche dil pe ḳharābī hazār guzrī hai
huī hai hazrat-e-nāseh se guftugū jis shab
vo shab zarūr sar-e-kū-e-yār guzrī hai
vo baat saare fasāne meñ jis kā zikr na thā
vo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai
na gul khile haiñ na un se mile na mai pī hai
ajiib rañg meñ ab ke bahār guzrī hai
chaman pe ġhārat-e-gul-chīñ se jaane kyā guzrī
qafas se aaj sabā be-qarār guzrī hai